
Awesome Golden Sayings from
Prophet Mohammed PBUH and
Hazrat Ali A.S



Jab tum kisi ko dost banao to apne dil mein
aik qabristan bana lo jahan tum uski buraiiyan
aur raaz dafna sako


Prophet Muhammad PBUH ---

Acha dost kitni dafa hi kyun na ruth jaye
ussey mana lena chahiyeh kyun ke
tasbeeh ke daney kitni dafa hi kyun na bikher jayein
chun liye jatey hein

Hazrat Ali (AS) ---

Jab aankhein nafs ki pasandeeda cheezein dekhnein lagein
to dil anjaam say andha ho jata hai

Hazrat Ali (AS)---

Ikhtiyar, taqat aur daulat milne par log badaltey nahin
balkey be-naqaab ho jatey hein

Hazrat Ali (AS)---

Din ki roshni mein rizq talash karo aur
Raat ki tareeqi mein usse talash karo
jo tumhein rizq deta hai

Hazrat Ali (AS)---

Kisi ko tum chaho aur woh tumhein thukra day,
Yeh uski badnaseebi hai. Koi tumhein na chahey
aur tum usse zaberdasti apna banana chaho,
ye tumhare nafs ki zillat hai

Hazrat Ali (AS)---

Insaan dukh nahin deta, insaanoun say
wabasta umeedein dukh deti hein

Hazrat Ali (AS)---

Agar kisi ka banna chahtey ho to poori haqeeqat say ban jao
warna apni zaat mein aisi haqeeqat paida kar lo ke
koi haqeeqat mein tumhara ban jaye

Hazrat Ali (AS)---

Sadqa (charity) jab apne malik ke hath se nikalta hai to
Uss waqt 5 jumley kehta hai
1. Main faani maal tha tu nay mujhe baqa di
2. Main tera dushman tha ab tu nay mujhe apna dost bana liya
3. Aaj say pehlay tu meri hifazat karta tha
ab mein teri hifazat karoun ga
4. Main haqeet tha tu nay mujhe azeem bana diya
5. Pehlay mein tere hath mein tha ab mein khuda ke haath mein hun

Prophet Muhammad PBUH---

Logoun ki zarooraton ka tum say wabasta hona
tum par Allah ki inayat hai

Hazrat Imam Hussain (AS)---

Jab gunahon ke bawajood Rab-ul-Izzat ki naimatein
musalsal tumhein milti rahein to hoshiyar ho jana
ke tumhara hisaab qareeb aur sakht tareen hai

Hazrat Ali (AS)---

Mujhe jannat say zyada masjid mein bethna acha lagta hai
kyun ke jannat mein mera nafs khush hoga,
jab ke masjid mein mera rabb khush hoga

Hazrat Ali (AS)---

Momin woh nahin jis ki mehfil paak ho,
Momin woh hai jis ki tanhaii paak ho

Hazrat Ali (AS)---

Barish ka qatra seep aur saanp dono ke munh mein girta hai..
seep ussey moti bana deta hai,
saanp ussey zehr bana deta hai..
jiska jaisa zarf waisi uski takhleeq

Hazrat Ali (AS)---

One thing that is better not expressed
even if it is true, is a man's praise for himself

Hazrat Ali (AS)---

3 kaam kisi ke dil mein aapki izzat barhatey hein
1. Salaam karna
2. Kisi ko jagah dena
3. Asal naam se pukarna


Hazrat Ali (AS)---


Koshish karo ke tum dunya mein raho
dunya tum mein na rahey kyun ke
kashti jab tak paani mein rehti hai khoob terti hai
lekin jab paani kashti mein ajaye to woh doob jati hai

Hazrat Ali (AS)---

Apni zubaan ki taizi uss maa par mat aazmao
jis ne tumhein bolna sikhaya

Hazrat Ali (AS)---

Mere Allah, meri izzat ke liye yehi kafi hai
ke mein tera banda hun aur mere fakhar ke liye
yehi kafi hai ke tu mera parwardigar hai..
tu waisa he hai jaisa mein chahta hun..
bas tu mujh ko waisa bana day jaisa tu chahta hai

Hazrat Ali (AS)---

5 cheezon ki 5 jaga par hifazat karo
1... mehfil mein zubaan ki
2. bazaar mein aankh ki
3. namaz mein dil ki
4. dastarkhwan mein pait ki
5. nigah mein haya ki

Hazrat Ali (AS)---

3 cheezein insaan ko Allah se door karti hein
1. apne aamaal ko zyada samajhna
2. apne gunhaoun ko bhool jana
3. apne aapko sab se behtar samajhna

Hazrat Ali (AS)---

6 cheezein amal ko zaya karti hein
1. logon ke aaib talash karna
2. Dil ki sakhti
3. Dunya ki mohabbat
4. Haya ki kammi
5. Lambi umeed.
6.. Zulm

Hazrat Ali (AS)---

A friend cannot be considered a friend
unless he is tested on three occasions
1. At the time of need
2. Behind your back
3. After your death

Hazrat Ali (AS)---

Agar kisi ka zarf aazmana ho to zyada izzat do..
woh aala zarf hua to aapko aur zyada izzat dega
aur kam zarf hua to khud ko aala samjhe ga

Hazrat ALi (AS)---












sis 


