

Aey Naye Saal Bata Tujh Main Naya Kya Hai
Har Taraf Khalq Ne Kyun Shor Macha Rakha Hai
Roshni Din Ko Wohi Taaron Bhari Raat Wohi
Aaj Hum Ko Nazar Ati Hai Har Baat Wo Hi
Aasmaan Badla Hai Na Afsos Badli Hai Zameen
Eik Hindsey Ka Badalna Koi Jiddat To Nahi
Agley Barson Ki Tarah Hongey Qareeney Terey
Kisey Maloom Nahi Baaraa Maheeney Terey
January,Ferwary,Aur March Main Pare gi Sardi
Aur April,Mayee,June Main Hogi Garmiii...!
Tera Sune Dehr Main Kuch Khoyega Kuch Payega
Apni Miyaad Basar Kar Key Chala Jayegaa’
Tu Naya Hai To Dikha Subha Naye,Shaaam Naye
Warna In Ankhon Ney Dekhey Hain Saal Kayee!!
Aur Bhi Besabab Detey Hain Q Log Mubarak badein!!
Galiban Bhool Gaye Waqt Ki Qarvii Yaadein.....!
Teri Aamad Sey Ghatti Umer Jahan Main Sab Ki..!
Mai Ney Likhi Hey Ye Nazam Niraley Dhab Ki...!











