






Happy Shab E Meraj to All Friends..
May Allah grant us with success, respect, happiness,
and right path__ AameeN





Jo shaks iss Shab-e-mubaraq main ibadat-e-Ilahi main mashghool rahey ga tu,
Allah Tala uss shaks k dil ko murda na karey ga aur wo is din maray ga jis din qiyamat k hol se loogon ke,
dil murda ho jain gai. Jo koi 27 Rajab ko shab bedari karey ga uss ki qabr farakh ho gi,
70 darwazay jannat k iss k liyay khol diyay jaein gay.

Hazrat Salman Farsi(Radi Allah unhu) ka qaul mubarak hai ke,
NABI AKRAM(Salla ho Aleha Wsalam) ne irshad farmaya kay jo shaks iss shab ibadat karey ga,
aur aglay din roza rakhey , tu ALLAH TALA uss shaks k nama-e-amal main,
100 baras ki ibadat aur 100 baras kay rozoon ka sawab Likhay ga.

12 rakat namaz nafal parhain ,2,2 ya 4,4 kar k parhain ,kisi khas Surah ki qaid nahin .
aur 12 rakat parhaney k bad 100 martaba SUBHAN ALLAH, 100 dafa
“ASTAGHFIRULLAH RABI MIN QULI ZAMBI WA ATUBU AALAIHI” aur
100 martaba DAROOD SHARIF parhay aur roza rakhay jo shaks yeh karey ga,
jo chahey ga wo paey ga.uss k nama-e-amal main har rakat k badlay hajj aur,
umra ka sawab likha jaey ga aur is kay 12 baras ke,
gunah mauf ho jain gay aur woo janat paey ga.

NABI-E-RAHMAT(Salla ho Aleha Wsalam) ne farmaya k,
jo shaks iss rat 6 rakat namaz nafal ada karey har rakat main bad Surah Fatihah,
Surah Ikhlas 7 ,7 martaba parhay tu ALLAH TALA us shaks ko bakshish dey ga aur,
har rakat k badlay 27 baras ki ibadat ka sawab milay ga aur woo janat main jaey ga.

Jab Sarwar-e-Kainat(Salla ho Aleha Wsalam) Mairaj par tashreef lai kar gaey tu,
tamam Ambiya-e-Karam(Aleh-e-Slam) ne App(Salla ho Aleha Wsalam) ki iqtada main,
namaz ada ki aur App(Salla ho Aleha Wsalam) ne imamat main 2 rakat namaz ada ki .
pehli rakat main Surah-Fael (Alam Taraqeefa) aur dosri rakat main Surah Quraish parhi,
pas jo shaks yeh 2 rakat namaz nafal iss shab parhay ga tu,
Allah Tala us ko Ambiya-E- Karam(AS) kay gruh ki muwafiqat ka sawab ata Farmaye ga.

NABI-E-AKRAM (Salla ho Aleha Wsalam) aik dafa aik shaks ki qabar par pohanchay to,
uss murday nai chikhna chilana shuru kar diya kah “YA RASOOL (Salla ho Aleha Wsalam)
mujh ko dozakh ki aag jalayay dalti hai aur mera kafan aag ka ho gaya hai”.
HAZOOR-E-AKRAM(Salla ho Aleha Wsalam) Na farmaya “Agar RAJB main,
to aik bhi Roza rakh laita to hargiz yah aag teray paas na atti na yah Azaab hota .
Hadees Sharif main hai kah jis nai Rajab main,
Tauba ki too uss kay liyay Jannat ka muzda hai
Iss shab-e-mubarika main Quran-E-Pak ki talawat ,Darood Sharif ki kasrat aur,
apnay gunahoon par ansoo bahana chahiyee iss shab “SALAT-TUS-TASBIH”
parhna bhi nihayat mustahan hai.

ALLAH RABB UL IZAT ISS SHAB-E-MUBARAK main apko or TAMMAM AHL-E-IMAN KO,
KASRAT –E-IBADAT KI SAADAT NASEEB FARMAY, KHUSUSI BARKAT SAI SARFRAZ FARMAY,
TAMAM GUNAHGAROO KI TAUBA KO QABOOL FARMAY AUR,
APNAY MAHBOOB BANDOO MAIN SHAMIL FARMAY. AMEEN











