Ramdan Special => Ebadaat o Wazaif

view and post here Islamic zikar and Wazifay.

Ramdan Special => Ebadaat o Wazaif

Postby Malaika Ali » Fri Aug 28, 2009 3:36 pm

Assalam o Alaikum To Allz


Daily Aur Taak raton Aur Shawal K Wazaif

"Ramdan Shareef Rehmaton 'Barkaton Aur Magfirat ka Maheena"

Allah k Pyare Nabi Hazrat Muhammad Mustuffa (S.A.A.W.W) Ne ramdan ul-Mubarak ki Fazeelat
k Baray mein irshad Farmaya K Jis Aimaan k Sath Aur Suwab Samjhtay hue
Ramdan -ul-Mubarak k Rozay rakhay Us k Guzashta Gunnah Muwaf kar diy jayein gay (Subhan Allah)

Aur Jis Ne aimaan k sath sawab smajhtay hue Ramdan-ul-Mubarak mein Qiyam(Traweeh wagairah parhi)
To us k peechlay gunnah muwaf kar diye jayein gay
(Subhan Allah)

Aur Jis Ne "SHAB -e-QADAR" main qiyam kiya aimaan k sath aur sawab smajh ker
Us k Ab tak k Gunnah Muwaf akr diye jayein gay (Subhan Allah)

==================== ==============

Bukhari -o-muslim abi hareerah ne farmaya Fakhar do Alam ne k Rozay aur Quran Banday k liye Sifarish karein gay.
Rozay kahein gay"Ae Rab 'Hum ne is ko din mein khanay se aur deegar khwahishat se rok diya
lihaza is k haq mein hamari Sifarish qabool Farma lijiye
Quraan Arz kare ga k "Main ne Raat ko isay Sonay na Diya Lihaza is k Haq Mein Meri Sifarish qabool kijiye
Chunacha Dono ki Sifarish qabool kar li jaye gi

==================== =================

Sehri K mutaliq Rasool Akram (S.A.A.W.W) ka Irshad -e-Grami hai k Sehri main Barkat Hai Use Hargiz Na Choro,
Agar Kuch Nahi To Is Waqt Pani Ka Aik Ghunt He P liya Jaye Q K sehri Mein Khanay Peenay Walon Per,
Allah Rehmat Farmata Hai Aur Farishtay Un K Liye Du -e- Khair Karte Hain [Masnad Ahmad Alhadees}

==================== ============
Iftaar K Baray Mein Hazrat Abu Hareerah Se Ruwaiyat hai k Rasool Allah (S.A.A.W.W) ne Farmaya K
Allah Tala Ka Irshad Hai k Apnay Bandon Mein Mujhe Woh Banda Ziyada Mahboob Hai Jo,
Roza k Iftaar Mein jaldi Kare(Yani Garoob Aaftaab K Baad Bilkul Der Na Kare)

[Jamia Tirmzi Muarif Alhadees}

==================== =================

Hazraat Umar (Razi Allah Tala Unhu) Se Riwaiyat Hai k Rasool Akram (S.A.A.W.W.) ne Irshad Farmaya k,
Rozay Daar ki Aik bhi Dua Iftaar k waqt Mustard Nahi Hoti (Subhan Allah) [Ibn Maja]

Hazrat Anas Se Ruwaiyat hai k rasool Allah (S.A.A.W.W.) Magrib Ki Nimaz se Pehle
Chand Tar khajooron se Roza Iftaar farmatay thay Agar Tar Khajoorein Barwaqt Majood na Hoti To,
Khushk Khajoorein(Chuwaray) se Roza Iftaar Farmatay'
Woh bhi Na Hoti To Chaand Ghunth Pani P Letay

==================== ==============

(Jamia Tarmazi) Mein farmaya Rasool Allah (S.A.A.W.W) ne k Jab Tum Roza Kholnay Lago To,
Khajoor Se Iftaar Karo' Q k Khajoor Sirapa -e- Barkat Hai
Agar Khajoor Na Milay To Pani Se Roza Khol le Q k Woh (Zahir -o-Batin) ko paaK karne wala hai

[Tirmzi An Salman Bin amir]

==================== =======

Roza Chorne K Nuqsaan K baray mein Hazraat Abu Hareerah Se Ruwaiyat Hai K rasool Allah (S.A.A.W.W) ne Irshaad Farmaya Jo Aadmi Sqafar Wagairah ki Sharayi Rukhsar K bagair Aur bemari jaise Kiis Azar K Bagair
Ramdaan ka Aik Roza Bhi Chore Ga Woh Agar Is K Bjaye Umar Bhaar Bhi Rozay Rakhay To Jo Chiz Faut Ho gayi Woh Puri Waa Nahi Ho sakti

[Masnad Ahmad Muarif Alhadees]

==================== =====

Farmaya Fakhar E Kaunain (S.A.A.W.W) ne k jis ne Ramdaan K Rozay rakhay Aur us k baad 6
(Nafal) Rozay Shawak(EID) k maheenay mein rakhe To (Puray Saal k Rozay Rakhnay ka Sawab milay ga
Agar Hamesha aisa he kiya kare To Goya Sari Umer k Rozay Rakhe

[Muslim An Abi Ayub]

==================== ===========

Aitkaaf

Ahadees Sameeha Main Manqaul Hai k Jab Ramdaan Shareef Ka Aakhri Ashra Aata To Nabi (S.A.A.W.W) k liye Masjid Main Aik Jagha Mekhsoos Kar di Jati Aur wahan koi Parda Chtayi wagaira Daal diya jata ya koi chota sa khaima nasab Hota'

Ramdaan ul Mubarak Ki 20 Tareekh ko Fajar ki Nimaz k liye Masjid Main tashreef le jatay thay aur Eid Ka Chand Dekh Ker Wahan Se Bahir Tashreef le jatay thay (Muarif Hadees) jis ne Ramdan ul Mubarak k aakhri ashray main 10 Din itkaaf kia to woh Itkaaf Masal Do Hajj Aur 2 Umron k Ho Ga Yani itna sawab Milay Ga

(Behqi Muarif Al Hadees )

==================== ============

Hadrat Abu Hareera {R.A} Se Ruwaiyat Hay K rasool ALLAH SAWW Ne Irshad Farmaya Sirf Khanay Peena Chor Dene Ka naam Roza Nahi Hay Asal Roza To Yeh Hay K aAdmi Behuda Aur Bekaar Baton Se Bachay PAS Aye Roza Daar Agar Tujhey Koi gali De Ya Jahalat Per Utar Aaye To Tu Keh De Main Roza Rakhay Hue Hoon Yani Mushtail Ho ker Jawabi Karwayi na kere

==================== ===========
"Wizaif"

Mah-e- Ramdaan ul Mubarak ki Pehli Shaab {Yani Ramdan Ki Pehli raat}Baad Nimaaz-e- Ishaa Aik martba Surah Fattah(success) Parhgna Afzal Hai

Aizan Mah-e-Ramdan ki Pehli Shaab Baad Nimaz -e- Thajad Aasman ki Traf Munh Ker k 12 Martba Yeh Dua
Parhna bohat afzal hai

" La Ilaha Il'laAllah -ul-Haiyul Qayum-ul-Qaaaaaaasimu(yahan Alif Per Maad hai So lamba karna hai) Alaa Kuli Nafsinm Bima Kasabat "

In Wizaif k Parhnay Walay beshumar Naimatein Allah Paak Ki traf Se Ata Ki jayie Gi

==================== ==================== ==================== ==

Ramdan Shareef Main Her Nimaz -e- Isha k Baad Rozana Teen(3) Martba Kalma Taiyba Parhnay Ki Bohat Fazeelat Hai

Awal Martba Parhnay Se Gunahon Ki magfirat Ho Gi

2 Martba Parhnay Se Dozakh se Aazad Ho Ga

3 Martba arhnay se Janat Ka Mustahiq Ho ga

==================== ==================== =============
Pehli Shab-e-Qadar

Hazoor Anwar Sarkar Do Alam (S.A.A.W.W.) irshad farmatay hain
k Meri Umat main se jo mard ya aurat yeh khwahish kare k meri qabar noor ki roshni se munwar ho to use chaiye k Maah-e-Ramdaan ki Shab-e-Qadron mein kasrat k Sath Ibadat ilahi baja laye ta k un Mubarak aur Mutbarik Raton ki Ibadaat se Allah Paak Us K Naama-e-Amaal Se Buraiyan Mita ker Nakiyon ka sawab Ata farmaye

Shab-e-Qadar Ki raat 70 Hazar Shab ki In\badaton se Afzal Hai

Nafal Nimaz


21 Shab ko 4 Rakaat Nimaz 2 Salaam se Parhein Her rakaat mein Baad Surah Fateha k Sura Qadar Aik Aik baar Surah Akhlaas Aik Aik Martba Parhein
Baad salam 70 Martba Darood Paak Parhein

Insha Allah Tala is Nimaaz k Parhne Walay K Haq Main Farishte Duaye magfirat Karein gay

21 Shab ko 2 Rakaat Nimaz parhein Her rakaat mein Baad Surah Fateha (Alhamd Shareef) k Surah Qadar aik aik baar surah Akhlas teen teen baar parhni hai
Baad salaam k nimaz khatam ker k 70 Martba Astagfaar parhein
Insha Allah Tala Is Nimaaz Aur Shab-e-Qadar ki Barkaat se Allah Paak Us ki bakhshish farmayein ga

==================== ===========

Wazeefa


Mah ramdaan ul Mubarak ki 21 Shab ko 21 Martba Surah Qadar Parhna Bhi Bohat Afzal hai

==================== =

Dusri Shab-e-Qadar


Mah Mubarak Ki 23 Shab ko 4 Rakaat Nimaaz Do Salam Se Parhein,Her Rakaat Mein Baad Surah Fateha k Surah Qadar Aik , Aik Baar Surah Akhlas 3,3 Martba parhein

Insha Allah Tala Waste magfirat k yeh Nimaz bohat afzal hai

23 Shab Qadar Ko 8 rakaat nimaz 4 salam se parhni hai.
Her rakaat mein baad surah fateha l baad Surah Qadaar aik aik dafa surah akhlaas aik aik bar Parhein

Aur Baad Salaam k 70 Martba kalima tamjeed parhein Aur Allah Tala se apnay gunahon ki bakhsheesh talab karein
Allah Tala us k gunnah muwaf farma ker magfirat farmaye ga

23 Shab-e- Ko Surah Yaseen Aik martba Surah Rahman Aik Dafa parhni afzal hai

==================== ==============
Teesri Shab E Qadar

Mah -e- ramdaan ki 25 Tareekh ki Shab-e-Qadaar ko 4 Rakaat nimaz do salam se parhein
Baad surah Fateha k Surah qadar aik, aik baar surah akhlas panch(5) panch martba her rakaat mein parhni hai baad salam k kalima taiyba aik so dafa parhna hai
Dargah Rab-ul-Izat se insha Allah Tla beshumar ibadaat ka sawab ata ho ga

25 Shab 4 rakaat nimaz 2 salam se parhein her raakat mein surah fateha k surah qadar 3,3 baar surah akhlas 3,3 baar parhein baad salam k satar(70) dafa astagfaar parhein

Yeh nimaaz bakhshesh k liye bohat afzal hai

25 Shab qada qadar ko 2 rakaat nimaz parhni hai,her rakaat main surahfateha k surah qadar aik aik martba surah akhlas 15,15 martba parhein baad salam k 70 dafa kalima shahadat parhna hai

Yej nimaaz wast nijat azab-e-qabar bohat afzal hai

==================== ==================== =

Wazaif Teesri Shab E Qadar k Liye

Mah e ramdan Ki 25 Shab Ko 7 Martba Surah Dkhan Parhein Allah Paak Is Surah Ko Parhne K bais Azaab e Qabar Se Makhfooz Rakhe Ga


Aizan 25 Shyab Ko 7 Martba Surah FATAH Parhna WAstay her Murad Afzal Hay

==================== ================

4th Shab e- Qadar


27 Shab -e- qadar 12 Rakaat nimaaz 3 salam se parhein her rakat mein baad surah fatha l surah qadar aik,aik martba surah akhla 15,15 martba parhein baad salam k 70 martba astagfar parhein

Allah Tala is nimaaz parhnay parhnay walay ko nabiyon ki ibadat ka sawab ata farmaye ga Insha Allah ul azeem

27ween shab ko 2 rakaat nimaz parhein her rakaat main surah fateha k baad surah qadaar teen teen dafa Surah Akhlas 5,5 martba parhein
baad salam k surah akhlas 27 martba parh ker gunahon ki magfirat talab karein Allah tala us k tumam peechlay gunnah muwaf farmaye ga Insha Allah

27 Shab ko 4 rakaat nimaaz 2 salam se parhni hai her rakaat main baad surah fateha k surah tukasir aik aik baar surah akhlaas 3,3 martba parhein

Is nimaaz ko parhnay walay per Allah Paak maut ki sakhti aasan akre ga
Insha Allah is per se Azaab-e-qabr bhi muwaf ho jaye ga

Aizan 27 Shab ko 2 rakaat nima parhein her rakat mein baad surah fateha k surah akhlas 7,7 martba parhein baad Salam k 70 Safa yeh tasbeeh muazim parhni hai

AStagfir-ul-Allah-hal-azim-al-alzi La Ilaha Ila HuWal Haiyul Qayumu Wa Aa Tubo Ilaih (yahan per toyen ka ra hai so waqaf karna hai se galay se sirf he ki aawaz nikle gi

Insha Allah tala is nimaaz ko parhnay walay apnay masalay se na uthein gay k Allah Paak us ko aur us k waliden k gunnah muwaf farmaye ga Allah Tala farishton ko hukam de ga k is k liye janat aarasta karo aur Farmaya k Woh jab tak tumam bahishti naimaten apni anakh se na dekh le ga us waqt tak maut na aasakay gi waste magfirat yeh nimaaz bohat afzal hai

Aizan27 Shab qadar ko 2 raqaat nimaz parhein her rakaat mein surah fateha k surah Nashrah aik aik baar surah akhlas 3,3 martba parhein baad salam k surah qadar parhein

Insha Allah ul azeem waste sawab be shumar ibadaat k yeh nimaz afzal hai

27 shab ko 4 rakaat nimaz parhein her rakaat mein baad surah fateha k surah qadar 3,3 dafa,surah akhlas 50 martba parhein baad Salam sajda main sar rakh ker aik martba yeh kalimaat parhein

Subhan Allahe Walhamdulilahe wa La ilaha ilalAllahu Wallah huAkbar

Us baad jo hajat dunyawi o deenwi talab kare insha Allah Tala dargah bari tala main qbaool ho gi

==================== ========

Wazaif 27 Sahb k liey


27 Shab qadar ko 7ween HAMEEM parhein yeh 7Ween HAMEEM azaab-e-qabar se nijaat aur magfirat gunah k liye bohat afzal hain

Aizan 27 shab ko Surah Mulk 7 martba parhni wasta magfirat gunnah bohat afzal hai

==================== =============
5th Shab-e-Qadar

29 Shab-e-Qadar ko 4 Rakaat nimaz do salam se parhein her rakaat mein baad surah fateha k surah qadar aik aik baar surah AKhlas teen teen martba parhein baad salam k surah nashrah satar(70) martba parhein

Yeh nimaz wasta kamil aimaan k bohat afzal hai

Insha Allah Tubarak o tala is nimaz k parhnayw laayt ko dunya se mukamal aimaan ks ath uthaye ga

Aizan Mah-e-Ramdan ki 29 Shab ko 4 raakat nimaz 2 salam se parhein her rakaat mein baad surah fateha k surah qadar aik aik baar surah akhlas 5,5 martba parhein
Baad salam k darood shareef aik so martba parhein

==================== ==========

Wazaif 29 Shab k Liye

Mah Ramdna ul Mubarak Ki 29ween shab ko 7 martba Surah waqiya Parheuin

Insha ALLAH Taraqi E Rizq K Liye Bohat Afzal Hay

Mah e ramdan Ki Kiis Bhi Shab Main baad Nimaz E Isha 7 Martba Surah Qadar Parhni Bohat Afzal Hay

==================== ============


Jumma ul Widaa

Ramdan ul Mubarak k akhri Jumma ko bada nimaz zohar 2 rakaat nima zparhein pehli rakaat mein surah fateha k baad surah zalzalal aik baar surah akhlas dus martba dusri rakaat mein surah fateha k baad surah kaferoon teen martba parhein
baad salam k dus martba surah akhlas darood shareef parhein Phir Do Rakaat nimaz parhein pehli rakaat mein baad surah fateha k surah tukasir aik baar surah akhlas 10 dafa dusri rakaat mein baad surah fateha k aiyat-ul-kursi teen martba surah akhlas 25 martba baad salam k dareood shareef 10 martba parhein
Is nimaaz k beshumar fazail hain aur is nimaaz k parhny walay ko Allah paak qiyamat ta be uintha ibaadaat ka sawab ata farmayein gay insha Allah Tala

==================== ===============

Shawal Ul Mukarim


Sarwar-e-Kaynaat (S.A.A.W.W.) farmatay hain k shawal ul mukarim bari Azmat o bazurgi wala maheena hai aur is maah ki ibadaat ka bohat sawab hai

Nafal Nimaaz


Pehli Shab Mah-e-Shawal baad nimaz -e-isha 4 rakaat nimaz do slaam se parhein her rakat mein baad surah fateha surah akhlas 21 ,21 martaba parhni hai Insha Allah Tala us nimaz parhnay wlaay k liye Janat k darwazay khol de ga aur dauzakh k darwaze band ker de ga
Shawal ki pehli shab baad nimaz -e-isha 4 rakaat nimaz do slaam se parhein her rakaat mein surah fateha k baad surah akhlas teen teen dafa surah Falaq teen teen dafa surah naas teen teen dafa parhe baad salam kalima tamjeed 70 martba parh ker gunahon se tauba karein
Allah Paak is nimaaz ki barkat se insha Allah tala us k gunah muwaf farma ker us ki tauba qabool farmaye ga
==================== ==================== ======
Salwat ul Tasbeeh

Salawat ul tasbeeh Bohat He Fazeelat Wali Nimaaz Hay Is Nimaaz Ko Banda Rozana Parhe Agar Rozana Na PArh Sake To Haftay Main Aik martba Her Haftay na Parh Sake To Her Maah Aik Martba Parhe Agar Yeh Bhi Mumkin Na Ho To saal Main Aik daffa APrh LEin Warna Apni zindagi Main Aik martba Zarur parhni Chaiye

Agar Saal Main Aik Daffa Parhe To Mah E Ramdan ul Mubarak Baroz jumma Nimaz E Zohat Se Qabal PArhni Afzal Hay


Tarkeeb Salwat ul Tasbee

Tasbee Nimaz parhne ka tarqqa

4 RakaatNimaz Aik Salam Se parhe mean Ashad un {LaIalaha } kharay ho jayein Dadrod shareef nahi perhni is trah aik Salam se yeh nimaz 4 rakaat per mushtamail ho gi.

Takbeer E Tehreema k baad Sana'a parhe sana k baad yeh kalma 15 bar parhein

"SUBHAN'NALLAHE WALHAMDULIL'LAHE WALAILAHA IL'LAL'LAHO'AKBAR"

phir tauz aur tasmia parhe aurfateha parhe phir sura {Surah Koi Bhi jo Zubani yaad ho Jaise 1st Rakat main Surah Kausar} perh ker dus baar yehi kalma parhe phir raoo mein ja ker rakoo ki tasbee k baad yeh kalma parhe dus baar phir rakoo se uth ker Tasmee o tamheed perhne baad 10 baar yehi kalma parhe phir sajday mein ja ker sajday ki tasbee k baad 10 baar yehi kalma parhe pir uth ker jalsay ki halat mein 10 baar yehi kalma parhe phir sajday mein ja ker sajday ki tasbee k baad yehi kalma 10 baar parhe phir dusri rakaat meein Surah fateha {alhamd shareef se qabal 15 baar yehikalma parhe mean her rakaat mein alhamd shareef se qabal 15 baar aur waise 10 baar Aur her Alhamdulilah k baad Makhsoos kalimat parhen k baad apa ne Mukhtalif surah parhni hay jaise 1st rakat main surah kausar aprh li,2nd main Surah tajkasur,3rd main surah qadar,4th main surah akhlas ya jo ap ko yad ho surah akhlas he nahi aprhte jana :)

phir isi trah se 4 raakaat parhni hain

umeed hay smajh a agayi ho gy

HADAYAAT

in kalimaat ko aap ungliyon per shumar ker skate hain magar is trah k jab aap raku ki halat mein hon to aap k hath ghutnon epr lazman hon aur whain aap ghuthnon per hath dharay ungliyon per shumar kar skate hain aur qayam ki halat mean kharay hone k baad alhamd sharef se pehle seenay per hath bandhe hue he ungliyon ki poron epr shumar kerna hai

==================== ==================== =

Degaar Wazaif


Salam-o-Alaykum


Hazur E Akram S.A.W. ne Irshad Farmaya

Jo Shakhs Shab E Qadar Mai 2 Rakaat Nimaz parhe Her Rakat Mai Alhamdulilah Aik Bar Qul Hu Allah 7 Martba bad Nimaz

ASTAGFIR ALLAH ZE LA ILAHA IL'LALLAH HUWAL HAYUL QAYUM WATUBU ALEEYH

70 martba Parhe to Ye apne Masale Se na uthe ga k Allah Tala us k aur us k Walidain ki magfirat farma dai Ga (subhan Allah)

Aur Farishto ko Hukam hoga k us k lye Janat Mai Darakht Lagate rahe Ye parhne wala jb tak apni ankh se khawab mai na Daikh le un Ko Maut Waqiya Na Ho Gi(Subhan Allah)

____________________ ____________________ ____________


Hazur E Akram S.A.W. ne Irshad Farmaya

Jo Koi 27 Ramdan Ko 4 Rakat Parhe Nimaz Her Rakaat Mai Bad Alhamdulilah K Ina Anzalna 3 Martba Aur Qul Hu Allah 50 martba Parhe Aur Bad Nimaz Sajday Mai Ja K Aik Martba
SUBHAN ALLAHE WALHAMDULILAHE WALAILAHA IL'LALLAH WALLAH HO AKBAR parhe Bad us k jo Dua Mange qabul Ho Gi Aur Ata Kare Ga Allah Tala us ko Be Inteha Naimat Aur us k Gunah bakhsh Dye Jain Gain SUBHAN ALLAH

ImageImage
Image
ImageImage
User avatar
Malaika Ali
Site Owner
Site Owner
 
Posts: 7341
Joined: Tue Aug 25, 2009 6:27 pm
Location: Dard E Judai Sehte Sehte Mar Na JaIn Hum, Har Pal Dil Ko Tarpata Hai TeRi JudAi Ka gHam...!

Advertisement

Re: Ramdan Special => Ebadaat o Wazaif

Postby Ajnabii » Mon Aug 22, 2011 8:20 pm

In this Post I have Read About, Shab-e-Qadar

its really nice post.


Image

Sachai Ke Rastay Pe Hi Chalna Hai Mujhe Ajnabii,
Duniya Ho Mere Sath Zarori To Nahin Hai.


Image
User avatar
Ajnabii
Administrator
Administrator
 
Posts: 3857
Joined: Tue Aug 25, 2009 6:27 pm

Re: Ramdan Special => Ebadaat o Wazaif

Postby Malaika Ali » Mon Aug 22, 2011 8:30 pm

Thanx...!
ImageImage
Image
ImageImage
User avatar
Malaika Ali
Site Owner
Site Owner
 
Posts: 7341
Joined: Tue Aug 25, 2009 6:27 pm
Location: Dard E Judai Sehte Sehte Mar Na JaIn Hum, Har Pal Dil Ko Tarpata Hai TeRi JudAi Ka gHam...!


Return to Zikar And Wazifay

 


  • Related topics
    Replies
    Views
    Last post
  • Sukoon-e-Dil ky Wazaif o Aamaal
    by pearl » Tue Jan 05, 2010 5:29 pm
    3 Replies
    911 Views
    Last post by PrIeTy View the latest post
    Mon Jan 25, 2010 11:06 pm
  • Special Zikars
    by Malaika Ali » Wed Jan 12, 2011 9:31 am
    6 Replies
    273 Views
    Last post by Malaika Ali View the latest post
    Fri Mar 11, 2011 6:23 am

Who is online

Users browsing this forum: No registered users and 0 guests

Your Ad Here