Shab -E- Qadr Ki Ebadaat

Shab -E- Qadr Ki Ebadaat

Postby Malaika Ali » Tue Aug 23, 2011 4:46 pm

ImageImage


Shab -E- Qadr Ki Ebadaat


ImageImage



Bismillah



Sab log aik bar Darood E Pak Parh lein

Allahumma Salli Ala Muhammadiw-Wa-Ala AAli
Muhammadin Kamma Sallaita Ala Ibrahima
Wa Ala Aali Ibrahima Innaka Hamidum Majid.
Allahumma Baarik Ala Muhammadiw-Wa-Ala AAli
Muhammadin Kamma Baarakta- Ala Ibrahima
Wa Ala Aali Ibrahima Innaka Hamidum Majid.



Ramdan Shareef Main Har Nimaz -e- Isha k Baad Rozana Teen(3) Martba Kalma Taiyba Parhnay Ki Bohat Fazeelat Hai.

Awal Martba Parhnay Se Gunahon Ki magfirat Ho Gi.

2 Martba Parhnay Se Dozakh se Aazad Ho Ga.

3 Martba arhnay se Janat Ka Mustahiq Ho Ga.



Image

Aitkaaf

Image



Ahadees Sameeha Main Manqaul Hai ke Jab Ramdaan Shareef Ka Aakhri Ashra Ata To Nabi (S.A.A.W.W) ke liye Masjid Main Aik Jagha Mekhsoos Kar di Jati Aur wahan koi Parda Chtayi wagaira Daal diya jata ya koi chota sa khaima nasab Hota'

Ramdaan ul Mubarak Ki 20 Tareekh ko Fajar ki Nimaz k liye Masjid Main tashreef le jatay thay aur Eid Ka Chand Dekh Ker Wahan Se Bahir Tashreef le jatay thay (Muarif Hadees) jis ne Ramdan ul Mubarak k aakhri ashray main 10 Din itkaaf kia to woh Itkaaf Masal Do Hajj Aur 2 Umron k Ho Ga Yani itna sawab Milay Ga

(Behqi Muarif Al Hadees )



ImageImageImage

Pehli Shab-e-Qadar

ImageImageImage


Hazoor Anwar Sarkar Do Alam (S.A.A.W.W.) irshad farmatay hain.
k Meri Umat main se jo mard ya aurat yeh khwahish kare k meri qabar noor ki roshni se munwar ho to use chaiye k Maah-e-Ramdaan ki Shab-e-Qadron mein kasrat k Sath Ibadat ilahi baja laye ta ke un Mubarak aur Mutbarik Raton ki Ibadaat se Allah Pak Us K Naama-e-Amaal Se Buraiyan Mita ker Nakiyon ka sawab Ata farmaye.

Shab-e-Qadar Ki raat 70 Hazar Shab ki In\badaton se Afzal Hai



ImageImage

Nafal Nimaz

ImageImage



21 Shab ko 4 Rakaat Nimaz 2 Salaam se Parhein Her rakaat mein Baad Surah Fateha k Sura Qadar Aik Aik baar Surah Akhlaas Aik Aik Martba Parhein
Bad salam 70 Martba Darood Paak Parhein.


Insha Allah Tala is Nimaaz k Parhne Walay K Haq Main Farishte Duaye magfirat Karein gay.


21 Shab ko 2 Rakaat Nimaz parhein Har rakaat mein Baad Surah Fateha (Alhamd Shareef) k Surah Qadar aik aik baar surah Akhlas teen teen baar parhni hai
Baad salaam k nimaz khatam ker k 70 Martba Astagfaar parhein
Insha Allah Tala Is Nimaaz Aur Shab-e-Qadar ki Barkaat se Allah Paak Us ki bakhshish farmayein ga


Wazeefa

Mah ramdaan ul Mubarak ki 21 Shab ko 21 Martba Surah Qadar Parhna Bhi Bohat Afzal hai



ImageImage

Jumma ul Widaa

ImageImage



Ramdan ul Mubarak k akhri Jumma ko bada nimaz zohar 2 rakaat nima zparhein pehli rakaat mein surah fateha k baad surah zalzalal aik baar surah akhlas dus martba dusri rakaat mein surah fateha k baad surah kaferoon teen martba parhein.

baad salam k dus martba surah akhlas darood shareef parhein Phir Do Rakaat nimaz parhein pehli rakaat mein baad surah fateha k surah tukasir aik baar surah akhlas 10 dafa dusri rakaat mein baad surah fateha k aiyat-ul-kursi teen martba surah akhlas 25 martba baad salam k dareood shareef 10 martba parhein.

Is nimaaz k beshumar fazail hain aur is nimaaz k parhny walay ko Allah paak qiyamat ta be uintha ibaadaat ka sawab ata farmayein gay insha Allah Tala



Dusri Shab-e-Qadar


Mah Mubarak Ki 23 Shab ko 4 Rakaat Nimaaz Do Salam Se Parhein,Her Rakaat Mein Baad Surah Fateha k Surah Qadar Aik , Aik Baar Surah Akhlas 3,3 Martba parhein

Insha Allah Tala Waste magfirat k yeh Nimaz bohat afzal hai

23 Shab Qadar Ko 8 rakaat nimaz 4 salam se parhni hai.
Her rakaat mein baad surah fateha l baad Surah Qadaar aik aik dafa surah akhlaas aik aik bar Parhein

Aur Baad Salaam k 70 Martba kalima tamjeed parhein Aur Allah Tala se apnay gunahon ki bakhsheesh talab karein
Allah Tala us k gunnah muwaf farma ker magfirat farmaye ga

23 Shab-e- Ko Surah Yaseen Aik martba Surah Rahman Aik Dafa parhni afzal hai.



3rd SHAB -E- QDAR


Mah -e- ramdaan ki 25 Tareekh ki Shab-e-Qadaar ko 4 Rakaat nimaz do salam se parhein
Baad surah Fateha k Surah qadar aik, aik baar surah akhlas panch(5) panch martba her rakaat mein parhni hai baad salam k kalima taiyba aik so dafa parhna hai
Dargah Rab-ul-Izat se insha Allah Tla beshumar ibadaat ka sawab ata ho ga

25 Shab 4 rakaat nimaz 2 salam se parhein her raakat mein surah fateha k surah qadar 3,3 baar surah akhlas 3,3 baar parhein baad salam k satar(70) dafa astagfaar parhein

Yeh nimaaz bakhshesh k liye bohat afzal hai

25 Shab qada qadar ko 2 rakaat nimaz parhni hai,her rakaat main surahfateha k surah qadar aik aik martba surah akhlas 15,15 martba parhein baad salam k 70 dafa kalima shahadat parhna hai

Yej nimaaz wast nijat azab-e-qabar bohat afzal hai.



4th Shab e- Qadar


27 Shab -e- qadar 12 Rakaat nimaaz 3 salam se parhein her rakat mein baad surah fatha l surah qadar aik,aik martba surah akhla 15,15 martba parhein baad salam k 70 martba astagfar parhein

Allah Tala is nimaaz parhnay parhnay walay ko nabiyon ki ibadat ka sawab ata farmaye ga Insha Allah ul azeem

27ween shab ko 2 rakaat nimaz parhein her rakaat main surah fateha k baad surah qadaar teen teen dafa Surah Akhlas 5,5 martba parhein
baad salam k surah akhlas 27 martba parh ker gunahon ki magfirat talab karein Allah tala us k tumam peechlay gunnah muwaf farmaye ga Insha Allah

27 Shab ko 4 rakaat nimaaz 2 salam se parhni hai her rakaat main baad surah fateha k surah tukasir aik aik baar surah akhlaas 3,3 martba parhein

Is nimaaz ko parhnay walay per Allah Paak maut ki sakhti aasan akre ga
Insha Allah is per se Azaab-e-qabr bhi muwaf ho jaye ga

Aizan 27 Shab ko 2 rakaat nima parhein her rakat mein baad surah fateha k surah akhlas 7,7 martba parhein baad Salam k 70 Safa yeh tasbeeh muazim parhni hai

AStagfir-ul- Allah-hal- azim-al-alzi La Ilaha Ila HuWal Haiyul Qayumu Wa Aa Tubo Ilaih (yahan per toyen ka ra hai so waqaf karna hai se galay se sirf he ki aawaz nikle gi

Insha Allah tala is nimaaz ko parhnay walay apnay masalay se na uthein gay k Allah Paak us ko aur us k waliden k gunnah muwaf farmaye ga Allah Tala farishton ko hukam de ga k is k liye janat aarasta karo aur Farmaya k Woh jab tak tumam bahishti naimaten apni anakh se na dekh le ga us waqt tak maut na aasakay gi waste magfirat yeh nimaaz bohat afzal hai

Aizan27 Shab qadar ko 2 raqaat nimaz parhein her rakaat mein surah fateha k surah Nashrah aik aik baar surah akhlas 3,3 martba parhein baad salam k surah qadar parhein

Insha Allah ul azeem waste sawab be shumar ibadaat k yeh nimaz afzal hai

27 shab ko 4 rakaat nimaz parhein her rakaat mein baad surah fateha k surah qadar 3,3 dafa,surah akhlas 50 martba parhein baad Salam sajda main sar rakh ker aik martba yeh kalimaat parhein

Subhan Allahe Walhamdulilahe wa La ilaha ilalAllahu Wallah huAkbar

Us baad jo hajat dunyawi o deenwi talab kare insha Allah Tala dargah bari tala main qbaool ho gi.



5th Shab-e-Qadar


29 Shab-e-Qadar ko 4 Rakaat nimaz do salam se parhein her rakaat mein baad surah fateha k surah qadar aik aik baar surah AKhlas teen teen martba parhein baad salam k surah nashrah satar(70) martba parhein

Yeh nimaz wasta kamil aimaan k bohat afzal hai

Insha Allah Tubarak o tala is nimaz k parhnayw laayt ko dunya se mukamal aimaan ks ath uthaye ga

Aizan Mah-e-Ramdan ki 29 Shab ko 4 raakat nimaz 2 salam se parhein her rakaat mein baad surah fateha k surah qadar aik aik baar surah akhlas 5,5 martba parhein
Baad salam k darood.



Wazaif


27 Shab qadar ko 7ween HAMEEM parhein yeh 7Ween HAMEEM azaab-e-qabar se nijaat aur magfirat gunah k liye bohat afzal hain

Aizan 27 shab ko Surah Mulk 7 martba parhni wasta magfirat gunnah bohat afzal hai.

Aameen Sum Aameen...!
ImageImage
Image
ImageImage
User avatar
Malaika Ali
Designer
Designer
 
Posts: 7405
Joined: Tue Aug 25, 2009 6:27 pm
Location: Dard E Judai Sehte Sehte Mar Na JaIn Hum, Har Pal Dil Ko Tarpata Hai TeRi JudAi Ka gHam...!

Return to Dua's for Ramadan

 


  • Related topics
    Replies
    Views
    Last post
  • Shab E Qadr ki Khas Dua
    by Malaika Ali » Tue Aug 23, 2011 3:52 pm
    0 Replies
    62 Views
    Last post by Malaika Ali View the latest post
    Tue Aug 23, 2011 3:52 pm
  • Laylatul Qadr ki khas Dua (urdu)
    by chota_nawab » Sat Aug 28, 2010 1:32 pm
    1 Replies
    270 Views
    Last post by Malaika Ali View the latest post
    Sat Aug 28, 2010 8:48 pm

Who is online

Users browsing this forum: No registered users and 0 guests